Thursday, March 5, 2009

AAP

Bina tumhare jeevan kalpana me bhi kalpit nahi ,

Bina tumhare madhuban khilkar bhi pushpit nahi,

Bina tumhare ye nain mohit hokar bhi nirmal nahi,

Bina tumhare ye mann santript hokar bhi santusht nahi,

Mann ki peeda tann ki agni aur hriday ki pyaas ho,

Sham subah ki parchayi ho aur ekaant ki tanhayi ho,

Sawan ki rimjhim boondo me ho,

Basant ke suwaseet pulkeet phoolo me ho ,

Chand ki sheetalta me ho aur taro ki jhilmilta me ho,

Nischhal nishkapat prem tum ho,

Saral santript jeevan tum ho,

Manav mann ki tripti ho ,

Manav jeevan ki sanskreeti ho,

Tum praan tum tanmayta ho,

Mann mastishk ke geet tum hi ho,

Saral viveki sach sach kahu ,

Tum hi mere preet ho.

3 comments:

  1. Kya batte hai bhai...shero shyari start kar di kya wahan pe.....sahi hai bahi.......keep blogging.....

    ReplyDelete
  2. kya bat hai manish bhai ...shero shayari kab se start kar diy.......life me koi aa gayi hai kya ...........

    ReplyDelete
  3. really bahut acha likhte ho...........maana padega.........aisa likhne k liye kya karna padta hai........

    ReplyDelete